Header Ads Widget

Blogger me Table of Contents kaise Add kare

Hello Friends, Aaj main aapko batane wala hu ki aap kaise Automatically Table of Contents kaise Create karte hain., Blogger Website par Table of Contents ko kaise add kare, blogger par table of contents kaise banaye.

Kya aap apne Blog Post ke liye Blogger me Table of Contents kaise add kare yeh seekhna chahte hain? Agar haan to yeh article aap hi ke liye hai. Maine analyze karne ke baad paaya hai ki jo New Bloggers hain vo aksar iss baat ko lekar pareshan ho jaate hain ki Table of Contents kya hai, iske kya faayde hain, table of contents ko kaise use kare, aur blogger par Table of Contents ko kaise add kare (How to add table of contents in blogger website in hindi) etc.

Sabse pehle main aapko batana chahunga ki Table of Contents ki basic shuruwaat "Pliny" the Elder author ne ki thi. Aise unhone isliye kiya tha jisse readers ko padhne mein koi problem na ho aur vo aasaani se apni manzil tak sakein. Yeh shuruwaat books ko padhne mein aasaan banane ke liye kiya gaya tha uske baad iska use articles ke liye hone laga.

Agar baat ki jaaye Table of Contents ko to yeh blog post ke Headings aur Subheadings ka combination hai. Agar aap blogger par apne articles ko likhte hain to aapko table of contents ko blogger par add karne se pehle yeh jaanna chahiye ki table of contents kya hai tabhi aap iska faayda utha payenge, lekin agar aapne aisa nahi kiya to aap apne competitors se piche reh jayenge.

Agar aap jaanna chahte hain ki How to add Table of Contents in Blogger Website to aap iss article ko end tak zaroor padhna. Yeh article aapke liye bahut hi useful hone wala hai.

Blogger me Table of Contents kaise Add kare

Automatically Table of Contents in blogger website ke kisi post ka ek tabular format hai jo post ka structured overview deta hai. Iss tabular format mein post se sambandhit sabhi headings aur subheadings (like h1,h2, h3,h4) ko update kiya jaata hai. Post ki sabhi headings aur subheadings link ke form mein users ko dikhayi dete hain.

Jab koi user Google ke SERP ke suggest kiye gaye website mein se kisi ek web page par visit karta hai tab useh table of contents ki help se pata chalta hai ki uss post mein kya kya topics hain. Agar user ke paas time kam hai to voh table of contents in blogger website par available apne topic par click karke direct uss jagah par pahuch sakta hai.

Agar aap bhi Wikipedia ki tarah apne post mein long contents likhte hain to aapko blogger website par table of contents ko zaroor add karna chahiye. Isse aapke users ko aapke blog post ko navigate karne mein aasaani hogi.

Blogger par Table of Contents (TOC) use karne se kya Benefit hain?

TOC matlab Table of Contents yeh kisi bhi web page ke first paragraph ke theek baad aur H2 heading se pehle dikhayi deta hai. TOC ko iss jagah isliye rakha jaata hai kyunki jab readers aapke blog post par aaye to unki nazar sabse pehle table of contents par jaaye. Jisse voh jaldi aur aasaani se apne topic par pahuch paaye. Blogger Website par Table of Contents use karne aapko bahut se benefits hone waale hain jinke baare mein maine neeche describe kiya hua hai:

  • Table of Contents ko add karne se sabse pehla benefit hoga ki isse users ko aapki blog post se achcha experience milega, aur users ka experience Google ke liye bahut matter karta hai.
  • Jab kisi website se users ko achcha experience milta hai to Google uss website ko high rank karati hai isliye aapko iss baat ka khaas dhyaan rakhna hai.
  • TOC aapke blog post ko ek professional look dega. Jisse users ko aapka blog post Wordpress ki website ke tarah hi dikhega. TOC aapke blog post ke sabhi headings aur subheadings ko ek systematic tarike se arrange kar dega.
  • Table of Contents sitemap to nahi hota lekin usmein kuch quality sitemap jaisi hoti hai. Yeh aapke blog post par visit karne waale visitors ke liye ek roadmap ka kaam karegi.
  • Iske saath hi TOC aapke post ke Bounce Rate ko badhne se rok sakta hai.

Kya Table of Contents SEO me help karta hai?

Blog Post ko SEO friendly banane ke liye ek factor Table of Contents bhi hai. Yeh aapke post ke On-Page SEO karne mein bahut help karega.

Agar aap apne post mein long content likhte hain to aapka post itna lengthy hone ke kaaran users ke liye boring ho jayega. 2022 mein users ke paas itna time nahi hai ki voh ek blog ko saara time dein. Voh jaldi se jaldi answer chahte hain.

Iske alawa jab aap Google Ad Sense ko apni website par lagaate hain toh yeh CTR ko bhi badhaane mein help karta hai.

How to Add Table of Contents in Blogger Website?

Ab aapko jaanna hai ki Table of Contents kya hai, iseh add karne se aapko kya benefit milne waale hain. Ab main aapko batata hun ki blogger website par table of contents kaise banaye ismein jo bhi work kiya jayega voh mostly HTML section mein hi hoga.

Aap yeh to achche se jaante honge ki WordPress par aapko Table of Contents add karne ke liye bahut Plugins mil jayenge lekin Blogger par Table of Contents ko add karne ke liye HTML hi sabse behtar tarika hai.

To chaliye shuru karte hain ki aap kaise apni blogger website mein table of contents ko add karenge.

Step 1 - Go to Blogger Dashboard

Ismein sabse pehle aapko blogger par jaana hai aur wahan Theme par click karna hai.

Uske baad aapko apni website ke template ke Edit HTML waale section par click karna hai jaise ki aapko upar di gayi image mein dikhayi de raha hai.

Step 2 - Now Search </head> tag

Iss step mein aapko template ke Edit HTML waale section mein jaane ke baad kuch iss tarah ke codes dekhne ko milenge. Aapko inn codes par kahin bhi click karna hai aur uske baad CTRL + F button press karke </head> search karna hai. Aapko </head> yellow color mein mil jayega. Uske baad aapko </head> tag ke upar neeche diye code ko paste karna hai aur fir SAVE ke button par click karke save kar dena hai.


Step 3 - Search For ]]></b:skin> Code

Iss step mein aapko upar di gayi image mein dikhaaye gaye ]]></b:skin> ko search karna hai. Ek baar ]]></b:skin> Code milne ke baad, aapko niche diye gaye CSS Code ko ]]></b:skin> ke theek upar niche diye huye code ko paste karna hai.


Step 4 - Search For <data:post.body/>

Iss step mein bhi aapko same process karna hai. Sabse pehle aapko <data:post.body/> search karna hai fir <data:post.body/> mil jaane ke baad niche diye gaye codes se replace kar dena hai aur save karna hai.


Iseh karne ke baad aapka kaam yahan khatam ho jayega.

How to show Table of Contents in Blogger Post

Ab main aapko batata hun ki Automatic Table of Contents in Blogger Website Post mein kaise dikhayi dega. Uske liye aapne jo codes template HTML se liye hain useh save karke rakhna bahut jyada important hai kyunki inn codes ko apne blog post mein apne hisaab se kahin bhi laga sakte hain jaise Heading Tag H2 ke pehle ya baad mein kahin bhi laga sakte hain. Ab aap niche diye gaye steps ko follow karein:

Step 1 - Choose TOC Box Location

Blogger par table of contents add karne ke liye sabse pehle uski location choose karni hogi. Waise aap chahein toh apne hisaab se koi bhi location select kar sakte hain lekin TOC ke liye sabse best location <h2> tag ke pehle hi hoti hai. Iss jagah users ka dhyaan pehle jaata hai.

TOC add karne ke liye aap apne blog post par jaayein aur apne post ko HTML mein switch karein.

Fir aap voh uss code mein kahin bhi ek jagah par click karein aur heading tag <h2> ko search karein.

Uske baad aapko <h2> tag ke neeche mere article mein diye huye code ko kuch iss tarah se paste karein.


Step 2 - Now Add This Code

Yeh sabse last step hai blogger me table of contents kaise add kare. Iss step mein aapko niche diye gaye code ko blog post mein sabse last mein add karna hai. Jaisa ki aapko upar di gayi image mein dikhayi de raha hai.


Iss step ko karne ke baad aapko apna blog post publish karna hai. Iske baad aapko iska result dekhne ko milega. Jahan aap dekhenge ki aapka Table of Contents successfully add ho gaya hai. Ab aapke readers aaraam se apne kisi bhi topic par pahuch sakte hain.

Frequently Asked Questions (FAQ)

  • Automatic Table of Content kaise create karte hain?
    MS Word ke Document mein apna cursor wahan rakhein jahan aap Index or Table of Contents jodna chahte hain. References > Table of Contents pe click karein aur Automatic style choose karein.

  • How to add automatic table of contents in google blogger?
    To add automatic table of contents, follow these steps 1. Log into your Blogger Dashboard 2. Click on Theme section and then click on Edit HTML 3. Now look for the </head> tag and paste the code 4. Now search for ]]></b:skin> and paste the CSS code.

  • Blogger me Table of Contents kaise add kare in hindi?
    Aap apne Blogger ke Dashboard par jaayein aur wahan par aapko Theme waale option par click karna hai uss par click karte hi aapke paas bahut saare option hain aapko unmein se ek Edit HTML par click karna hai.

  • Table se aap kya samajhte hain?
    Table aapke data ko row aur column ko grid mein dikhati hai. Har column mein ek aayaam ya metric dikhayi deti hai, jabki ek row mein aapke data ka ek record hota hai.

  • Table of Contents ka customization kaise kare?
    Table of Contents ka customization bahut hi aasaani se kar sakte hain. Aapko maine jo ]]></b:skin> code provide karaya hai usmein aapko kuch codes mein changing karni hogi. Bas fir aap jaise chahein Table of Contents look de sakte hain.

Post a Comment

0 Comments

email-signup-form-Image

Subscribe Now

Pro Jaankari - To Get More Updates About Blogging Tips and Tricks